kuch ishq tha kuch majburi thi so maien jiwan waar diya
main kaisa zinda aadmi tha ikk shakhs ne mujhe maar diya
ye sajja sajaya ghar saqi meri zaat nahi mera haal nahi
ae kaash kabhi tum jaan sako jo uss sukh ne aazaar diya
main khuli huee ikk sachaee mujhe jananay walay jantay hain
maine kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyaar kiya
wo ishq bohat mushkil tha magar aasaan na tha yun jeena bhi
uss ishq ne zinda rehnay ka mujhe zarf diya pindaar diya
ikk sabz shaakh gulaab ki tha, ikk duniya apne pyaar ki tha
wo ikk bahaar jo aai nahi us k liye sab kuch haar diya
main rota hoon aur aasmaan se taare tuutate dekhata hoon
un logon par jin logon ne meray logon ko aazaar diya
vo yaar hon yaa mehboob meray ya kabhi kabhi milne vaale
ikk lazzat sab ke milne main vo zakhm diya ya pyaar diya