Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.



 
HomePortalSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 ~ MAA ~(Must Read!)

Go down 
AuthorMessage
zaara




Number of posts : 47
Registration date : 2008-05-27

~ MAA ~(Must Read!) Empty
PostSubject: ~ MAA ~(Must Read!)   ~ MAA ~(Must Read!) Icon_minitimeSat Jul 19, 2008 2:16 pm

Rab ne "Maa" ko ye azmat-e-kamaal di,
Uski dua pe aayi musibat taal di,
Quran ne "Maa" ke pyaar ki is tarah misaal di k
Jannat utha k "Maa" k qadmon me daal di...
Back to top Go down
zaara




Number of posts : 47
Registration date : 2008-05-27

~ MAA ~(Must Read!) Empty
PostSubject: Re: ~ MAA ~(Must Read!)   ~ MAA ~(Must Read!) Icon_minitimeSat Jul 19, 2008 2:19 pm

Need apni bhula ker sulaya humko
Ansu apne gira kar hasaya humko
Dard kabhi na dena uss khuda ki tasveer ko
Zamana kehta hai Maa Baap Jinko...
Back to top Go down
zaara




Number of posts : 47
Registration date : 2008-05-27

~ MAA ~(Must Read!) Empty
PostSubject: Re: ~ MAA ~(Must Read!)   ~ MAA ~(Must Read!) Icon_minitimeSat Jul 19, 2008 2:20 pm

Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskurata hua paya hai mai ne

Jab bhi maa ka naam liya,
os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

Jab koi dard mehsoos hua, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

Jaagti rahi wo raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne

Zindagi ke har modh par, jab hua gumrah mai
Iski hidaayat par, pakadli seedhi raah mai ne

Jis ki dua se har museebat loat jaye,
aisa farishta paya hai mai ne

mere har fikr ko janne wali,
mere jazbaaton ko pehchan ne wali,
aisi hasti paya hai mai ne

Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakhi hai mai ne
Back to top Go down
zaara




Number of posts : 47
Registration date : 2008-05-27

~ MAA ~(Must Read!) Empty
PostSubject: Re: ~ MAA ~(Must Read!)   ~ MAA ~(Must Read!) Icon_minitimeSat Jul 19, 2008 2:21 pm

jab tu paida huwa kitna majboor tha

yeh jahan teri sonch se bhi door tha

haath paaon bhi tab tere apney na they

teri ankhon main duniyan ke sapney na they

tujhko aata sirf rona hi tha

doodh pi ke kaam tera sona hi tha

tujhko chalna sikhaya tha maa ne teri

tujhko dil main basaya tha maa ne teri

maa ke saaye main parwaan chadhne laga

waqt ke saath qad tera badhne laga

dheerey dheerey tu jawan ho gaya

tujhpe saara jahan meharban ho gaya

zor,,,,e,,,bazoo pe tu baat karne laga

khud hi sajney sanwarney laga

ek din ek ladki tujhe bhaa gayei

ban ke dulhan woh tere ghar aagayeii

ab faraayez se tu door honey laga

beej nafrat ka tu khud hi boney laga

phir tu maa baap ko bhi bhulaaney laga

teer baaton ke phir tu chalaney laga

baat be baat unsey tu ladhney laga

qaiyda ek naya tu phir padhney laga

yaad kar tujhse maa ne kaha ek din

aab hamara guzara nahi tere bin

sunke yeh baat tu tayesh main aagaya

tera gussa teri aqal ko kha gaya

josh main aake tu ne maa se yeh keha

main tha khamosh sab dekhta raha

aaj kehta hoon peecha mera chor do

jo hai rishta mera tum se woh tod do

jao ja ke kahin kaam dhanda karo

log marte hain tum bhi kahin ja maro

bait kar aahen bharti thi maa raat bhar

maa ki aahon ka tujhpar huwa na koi asar

ek din baap tera chala rooth kar

kaise bikhri thi phir teri maa toot kar

phir woh bhi bas kal ko bhulati rahi

zindagi isko har roz satati rahi

ek din maut ko bhi taras aagaya

iska rona bhi taqdeer ko bha gaya

ashk aankhon main they woh rawana huwi

maut ki ek hichki bahana huwi

ek sukoon uske chehrey pe chaane laga

phir tu mayyat ko uski sajane laga

muddatain hogayi aaj buddha hai tu

tooti khatyaa pe pada hai tu


tere bache bhi aab tujhse darte nahi


nafratein hain mohabbat woh tujhse karte nahi

dard main tu pukare ke "o meri maa

tere dum se hi roshan the do jahan

waqt chalta rehta hai rukhta nahi

toot jata hai woh jo ke jhukta nahi

ban ke ibrat ka tu aab nishaan reh gaya

dhoondh aab zor tera kaha reh gaya

tu AHKAAM-E-RABBI bhulata raha

aapne maa baap ko tu satata raha

kaat le toh wahi,tu ne boya tha jo

tujhko kaise mile tu ne khoya tha jo

yaad karke gaya daur tu roone laga

kal jo kya tune aaj phir wahi hone laga

maut maange tujhe maut aati nahi

maa ki suraat nigahoon se jati nahi

tu jo khanse toh aulaad daanteey tujhey

tu hi nasoor ,sukh kaun bantey tujhey

maut aayegi tujhe magar waqt per

ban hi jayegi qabar teri magar waqt per

qadar maa baap ki agar koi jaan le

aapni jannat ko duniya main pehchan le

aur leta rahe woh bad duaon ki dua

usi ke dono jahan ,,uska hami KHUDA

yaad rakhna her aulaad is baat ko

bhool na jana REHMAT KI barsat ko
Back to top Go down
Sponsored content





~ MAA ~(Must Read!) Empty
PostSubject: Re: ~ MAA ~(Must Read!)   ~ MAA ~(Must Read!) Icon_minitime

Back to top Go down
 
~ MAA ~(Must Read!)
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Read The Following Rules
» Please spare 3 minutes to read

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: Bazm-e-Adab :: shair o shairi-
Jump to: