Mein sun ke uski sub baatain
Faqat itna he kehta hon
Khafa hona mana laina
Yeh sadiyon se riwayat hei
Muhabbat ki alamat hei
Gilay shikway karo mujh se
Tumhein yara ijazat hei
Magar ik baat meri bhi
Zara tum yaad rakh laina
Kabhi aisa bhi hota hei
Hawain rukh badalti hein
Khizain loat aati hein
Khatain ho hi jati hein
Khata hona bhi mumkin hei
Khafa hona bhi mumkin hei
Hamesha yaad rakhna tum
Taaluq tout janay se
Kabhi routha nahi kartay....