dekh lo khawab magar khawab ka charcha na karo
log jal jaayenge suraj ki tamanna na karo
vaqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo
kirchiyaan tuutay huwe aks ki chubh jaayengi
aur kuch roz abhi aaina dekha na karo
ajnabi lagne lagay khud tumhain apna hi wajood
apne din raat ko itna bhi akelaa na karo
khawab bachchon k khilonu ki tarha hote hain
khawab dekha na karo khawab dikhaya na karo
be_khayali main kabhi ungliyaan jal jaayengi
raakh guzre hue lamhon ki kureda na karo
mom k rishte hain garmi se pighal jaayenge
dhoop k shehar main "Aazer" ye tamasha na karo