soz e gham de k mujhe uss ne ye irshaad kiya
ja tujhe kash ma kash e dahar se azaad kiya
wo karain bhi tou kin ilfaaz main tera shikwa
jin ko teri nigah e lutf ne barbaad kiya
dil ki choton ne kabhi chaen se rehnay na diya
jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya
aisay main, main teray tajj takalluf pe nisaar
phir to farmaaye vafa aap ne irshaad kiya
iss ka rona nahi kyun tum ne kiya dil barbaad
iss ka gham hai k bohat dair main barbaad kiya
itna masoom hoon fitrat se kalli jab chatki
jhuk k maine kaha, mujhse kuch irshaad kiya
meri har saans hai iss baat ki shahid e maut
maine har lutf k mauqay pe tujhe yaad kiya
mujh ko tou hosh nahi tumko khabar ho shayad
log kehtay hain k tumne mujhe barbaad kiya
wo tujhe yaad karay jis ne bhulaya ho kabhi
hum ne tujh ko na bhulaya na kabhi yaad kiya
kuch nahi iss k elawa "Josh" harifoon ka kalaam
vasal ne shaad kiya hijr ne nashaad kiya