Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.



 
HomePortalSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~

Go down 
+19
FIVE FOUR FIVE - 545
sahil_kinara
Salar
Laila
Hasham
rose pari
Noor-ul-Ain
saThiyA
farwa
AMAN
lasani
Lamhe
kAsh....
muskurahat
muskaan
Afsana
waqar hussain
Bheege-Yaadein
wafa
23 posters
Go to page : Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next
AuthorMessage
Bheege-Yaadein
Super Moderator
Super Moderator
Bheege-Yaadein


Number of posts : 4782
Age : 36
Registration date : 2007-11-26

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeThu Jan 31, 2008 6:35 am

Yoon Jurm-e-Mohabbat ki saza deti hai Duniya
Hanstey huey chehron ko rula deti hai duniya
Marney ki Tamanna ho tou, marney nahin deti
Jeetey hain tou jeeney ki saza deti hai Duniya
Back to top Go down
http://www.apnaforums.forumotion.com
Afsana
VIP Member
VIP Member
Afsana


Number of posts : 5268
Registration date : 2007-11-27

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeThu Jan 31, 2008 3:03 pm

Har arzu jab hasrat ban jaey
to taqdeer se rootha nahi kerte


Apni tamanna dil mein rakhte hain
hum dunya mein charcha nahi kerte

zindagi ki lambi musafat mein
itni jaldi thakaa nahi kerte

Umeed rakhte hain achay dinon ki
kabhi waqt se gila nahi kerte

Phool khilte hain phoolon k mousam mein
pat jhar mein phool khila nahi kerte.
Back to top Go down
Bheege-Yaadein
Super Moderator
Super Moderator
Bheege-Yaadein


Number of posts : 4782
Age : 36
Registration date : 2007-11-26

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: main nay is taur se chaha tujhe aksar janan   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeThu Jan 31, 2008 9:37 pm

main nay is taur se chaha tujhe aksar janan..
jaise mehtaab ko be ant samandar chahe..
jaise soraj ki kiran seep k dil main utre..
jaise khushboo ko hawa rang se hat kar chahe..
jaise pathar k kaleje se kiran pooth thi hay..
jaise ghunche khule mosam se hina mangte hain..
jaise khwabon main khayalon ki kamaan toot thi hay.
jaise barish ki duaa aabla paa mangte hain..

mera har khwab mere sach ki gawahi de ga..
wus,at e deed nay tujh se teri khwahish ki hay..
meri sochon main kabhi dekh saraapa apna..
main nay dunya se alag teri paristish ki hay..
khwahish e deed ka mosam kabhi dhundla jo howa..
noch dali hain zamanon ki niqaabain main nay..
teri palkon pe uter thi hoi subhon k liye..
tod dali hain sitaaron ki tanaabian main nay..

tay to yeh tha k sajaata rahe lafzon k kanwal..
mere khamosh khayalon main takalum tera..
raqs karta rahe phirta rahe khushboo ka khumar..
meri khwabon k jazeeron main tabasum tera..
tu magar ajnabi mahol ki parwarda kiran..
meri bhujti hoi raaton ko sehar kar na saki..
teri saanson main maseehai thi likin tu bhi..
chara e zakhm gham e deeda e tar kar na saki.

tujh ko ihsas hi kab hay k kisi dard ka dagh..
aankh se dil main utar jaye to kia hota hay ?
to k seemab tabeeyat hay tujhe kia maloom..
mosam e hijar tehar jaye to kia hota hay ?
tu nay us mod pe tora hay talauq k jehan ..
dekh sakta hi nahi koi palat kar janaan..
ab yeh aalam hay k aankhian jo khulain gi apni..
yaad aaye ga teri deed ka manzar janaan.

mujh se mange ga tere ahd e mohabat ka hisab..
tere hijraan ka dehakta howa mehshar janaan..
yoon mere dil k barabar tera gham aaya hay..
jaise shaishe k muqabil koi pathar janaan..

main nay is taur se chaha tujhe aksar janaan..
Back to top Go down
http://www.apnaforums.forumotion.com
Bheege-Yaadein
Super Moderator
Super Moderator
Bheege-Yaadein


Number of posts : 4782
Age : 36
Registration date : 2007-11-26

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeThu Jan 31, 2008 9:39 pm

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
To Chaand Raaton Ki Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon Aagiray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa
Agar Naa Aaye?.....
Magar Yeh Mumkin Hi Kis Tarha Hai Kay Tum Kisi Par Nigah Daloo
Too Us Ki Deewaar-E-Jaan Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
Agar kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti Hui Hawaoon Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main Tumhain Miloon Gaa
Mujhay Gulaab Ki Patioon Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous Khushbhuoon Main
Naa Paoo Mujh Koo
To Apnay Kadmoon Main Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon Main Tumhain Miloon Gaa
kahin Pay Roshan Chiraagh Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar Sumandar Main Safar Karoon Gaa
Kisi Naa Dekhay Huay Jazeeray Par Ruk Kay Tumhain Sadain Doon Gaa
Sumandaroon Kay Safar Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna
Back to top Go down
http://www.apnaforums.forumotion.com
waqar hussain
Admin
Admin
waqar hussain


Number of posts : 9251
Registration date : 2007-11-24

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 6:04 am

Agar ansoo baha deta too us ke pass kia rehta
woh muj ko hoosla deta too us ke pass kia rehta

nishan muj ko nahi milta koi us tak pohachnay ka
muje apna pata deta too us ke pass kia rehta

woh iss gumaan main tha kay jiss kay dam per ab woh
zinda hai main us ka dil dukha deta too us kay pass kia rehta

musafir saray he phaal kha kay apni rah chal daitay
shajar tehni jhuka deta too us ke pass kia rehta

meri yaadon nay he ab tak usay abaad rakha hai
woh muj ko bhi bhula deta too us k pass kia rehta
Back to top Go down
farwa

farwa


Number of posts : 2342
Age : 36
Location : Äриί ĐūήіŸá MėıЙ
Registration date : 2008-01-12

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 6:46 am

hmm nice sharings frnds..
Back to top Go down
farwa

farwa


Number of posts : 2342
Age : 36
Location : Äриί ĐūήіŸá MėıЙ
Registration date : 2008-01-12

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 6:54 am

ansoo har khushi aur gham main insan ka saath dete hai
ansoo bahane se dil ka bojh halka hota hai
ansoo khushi ke moqe par bhi nikal aate hai aur khushi ka izahar karte hai
ansoo dost bichar ne par ankhon se moteoun ki tarah behne lagte hai
ansoo se pyar karo kyun ke yeh bin mange mil jate hai
Back to top Go down
farwa

farwa


Number of posts : 2342
Age : 36
Location : Äриί ĐūήіŸá MėıЙ
Registration date : 2008-01-12

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 6:57 am

Aansoo May Na Dhoondna Humey
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge....
Back to top Go down
saThiyA




Number of posts : 2464
Registration date : 2008-01-23

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 8:00 am

Very gud sharing wb n gud sharing Farwa sis
Back to top Go down
AMAN




Number of posts : 2856
Registration date : 2007-11-30

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 1:38 pm

Gooood going tfs !!
Back to top Go down
AMAN




Number of posts : 2856
Registration date : 2007-11-30

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 1:39 pm

dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa
Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa

kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaastaa ko_ii
tuune to hamase aaj tak ko_ii gilaa nahii.n kiyaa

tuu bhii kisii ke baab me.n ahad-shikan ho Gaaliban
mai.n ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahii.n kiyaa

jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do
aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa

jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar
hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa

nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii.n kiyaa
Back to top Go down
AMAN




Number of posts : 2856
Registration date : 2007-11-30

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 1:40 pm


Khaamoshii kah rahii hai kaan me.n kyaa
aa rahaa hai mere gumaan me.n kyaa

[gumaan=thought]

ab mujhe ko_ii Tokataa bhii nahii.n
yahii hotaa hai khaanadaan me.n kyaa

bolate kyo.n nahii.n mere haq me.n
aabale par gaye zubaan me.n kyaa

[aabale=blisters]

merii har baat be-asar hi rahii
nuqs hai kuchh mere bayaan me.n kyaa

[nuqs=fault; bayaan=method of expression]

vo mile to ye puuchhanaa hai mujhe
abhii huu.N mai.n terii amaan me.n kyaa

[amaan=security]

shaam hii se dukaan-e-diid hai ba.nd
nahii.n nukasaan tak dukaan me.n kyaa

yuu.n jo takataa hai aasamaan ko tuu
ko_ii rahataa hai aasamaan me.n kyaa

ye mujhe chain kyuu.N nahii.n pa.Dataa
ik hii shaKhs thaa jahaan me.n kyaa

[chain=contentment]



I just love this poet Razz
Back to top Go down
saThiyA




Number of posts : 2464
Registration date : 2008-01-23

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 3:00 pm

AMAN wrote:
dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa
Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa

kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaastaa ko_ii
tuune to hamase aaj tak ko_ii gilaa nahii.n kiyaa

tuu bhii kisii ke baab me.n ahad-shikan ho Gaaliban
mai.n ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahii.n kiyaa

jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do
aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa

jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar
hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa

nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii.n kiyaa

Bohut gud sharing

beech mein se kuch kuch samjh nahi aai Razz
Back to top Go down
saThiyA




Number of posts : 2464
Registration date : 2008-01-23

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSat Feb 02, 2008 3:01 pm

AMAN wrote:

Khaamoshii kah rahii hai kaan me.n kyaa
aa rahaa hai mere gumaan me.n kyaa

[gumaan=thought]

ab mujhe ko_ii Tokataa bhii nahii.n
yahii hotaa hai khaanadaan me.n kyaa

bolate kyo.n nahii.n mere haq me.n
aabale par gaye zubaan me.n kyaa

[aabale=blisters]

merii har baat be-asar hi rahii
nuqs hai kuchh mere bayaan me.n kyaa

[nuqs=fault; bayaan=method of expression]

vo mile to ye puuchhanaa hai mujhe
abhii huu.N mai.n terii amaan me.n kyaa

[amaan=security]

shaam hii se dukaan-e-diid hai ba.nd
nahii.n nukasaan tak dukaan me.n kyaa

yuu.n jo takataa hai aasamaan ko tuu
ko_ii rahataa hai aasamaan me.n kyaa

ye mujhe chain kyuu.N nahii.n pa.Dataa
ik hii shaKhs thaa jahaan me.n kyaa

[chain=contentment]



I just love this poet Razz

Gr8 sharing
Back to top Go down
Lamhe
Co-Admin
Co-Admin



Number of posts : 4991
Age : 39
Registration date : 2007-12-04

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSun Feb 03, 2008 3:49 am

AMAN wrote:

Khaamoshii kah rahii hai kaan me.n kyaa
aa rahaa hai mere gumaan me.n kyaa

[gumaan=thought]

ab mujhe ko_ii Tokataa bhii nahii.n
yahii hotaa hai khaanadaan me.n kyaa

bolate kyo.n nahii.n mere haq me.n
aabale par gaye zubaan me.n kyaa

[aabale=blisters]

merii har baat be-asar hi rahii
nuqs hai kuchh mere bayaan me.n kyaa

[nuqs=fault; bayaan=method of expression]

vo mile to ye puuchhanaa hai mujhe
abhii huu.N mai.n terii amaan me.n kyaa

[amaan=security]

shaam hii se dukaan-e-diid hai ba.nd
nahii.n nukasaan tak dukaan me.n kyaa

yuu.n jo takataa hai aasamaan ko tuu
ko_ii rahataa hai aasamaan me.n kyaa

ye mujhe chain kyuu.N nahii.n pa.Dataa
ik hii shaKhs thaa jahaan me.n kyaa

[chain=contentment]




kafi achi poetry hai
Back to top Go down
muskaan
VIP Member
VIP Member
muskaan


Number of posts : 739
Registration date : 2007-11-27

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSun Feb 03, 2008 12:55 pm

nice sharing all ov u
Back to top Go down
muskaan
VIP Member
VIP Member
muskaan


Number of posts : 739
Registration date : 2007-11-27

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeSun Feb 03, 2008 1:02 pm

ye dasht e hijar ye wehshat ye shaam k saae
khuda ye waqt teri aankh ko na dikhlae

uss k naam se lafzon main chaand utray hain
wo aik shakhs k dekhoon tou aankh bhar aae

kalli se maine gull e tar jissay banaya tha
rutain badalti hain kaisay,mujhe hi samjhae

jo be chiraag gharoon ko chiraag deta hai
ussay kaho meray shehar ki taraf aae

ye iztaraab e musalsal hai Amjad
mera nahi tou kisi aur ka hi ho jae
Back to top Go down
AMAN




Number of posts : 2856
Registration date : 2007-11-30

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeMon Feb 04, 2008 7:41 am

good sharing ^^^
Back to top Go down
AMAN




Number of posts : 2856
Registration date : 2007-11-30

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeMon Feb 04, 2008 7:41 am

kitane aish u.Daate ho.nge kitane itaraate ho.nge
jaane kaise log vo ho.nge jo us ko bhaate ho.nge

us kii yaad kii baad-e-sabaa me.n aur to kyaa hotaa hogaa
yuu.N hii mere baal hai.n bikhare aur bikhar jaate ho.nge

ba.nd rahe jin kaa daravaazaa aise gharo.n kii mat puuchho
diivaare.n gir jaatii ho.ngii aa.Ngan rah jaate ho.nge

merii saa.Ns ukha.Date hii sab bai.n kare.nge ro_e.nge
yaanii mere baad bhii yaanii saa.Ns liye jaate ho.nge

yaaro kuchhh to baat bataa_o us kii qayaamat baaho.n kii
vo jo simaTate ho.nge in me.n vo to mar jaate ho.nge


wah wah wah
Back to top Go down
AMAN




Number of posts : 2856
Registration date : 2007-11-30

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeMon Feb 04, 2008 7:43 am

kal chaudhavii.n kii raat thii shab bhar rahaa charchaa teraa
kuchh ne kahaa ye chaa.Nd hai kuchh ne kahaa cheharaa teraa

ham bhii vahii.n maujuud the ham se bhii sab puuchhaa kiye
ham ha.Ns diye ham chup rahe manzuur thaa pardaa teraa

is shahar me.n kis se mile.n ham se to chhuuTii mahafile.n
har shaKhs teraa naam le har shaKhs diivaanaa teraa

kuuche ko tere chho.D kar jogii hii ban jaaye.n magar
jangal tere parbat tere bastii terii saharaa teraa

ham aur rasm-e-bandagii aashuftagii uftaadagii
ehasaan hai kyaa kyaa teraa ai husn-e-beparvaa teraa

do ashk jaane kis liye palko.n pe aa kar Tik gaye
altaaf kii baarish terii ikraam kaa dariyaa teraa

ai bedaareG-o-be_amaa.N ham ne kabhii kii hai fuGaa.N
ham ko terii vahashat sahii ham ko sahii saudaa teraa

tuu bevafaa tuu maharabaa.N ham aur tujh se bad-gumaa.N
ham ne to puuchhaa thaa zaraa ye vaqt kyuu.N Thaharaa teraa

ham par ye saKhtii kii nazar ham hai.n faqiir-e-rah_guzar
rastaa kabhii rokaa teraa daaman kabhii thaamaa teraa

haa.N haa.N terii suurat hasii.n lekin tuu aisaa bhii nahii.n
is shaKhs ke ashaar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa

beshak usii kaa dosh hai kahataa nahii.n Khaamosh hai
tuu aap kar aisii davaa biimaar ho achchhaa teraa

bedard sunanii ho to chal kahataa hai kyaa achchhii Gazal
aashiq teraa rusavaa teraa shaayar teraa "Inshaa" teraa
Back to top Go down
farwa

farwa


Number of posts : 2342
Age : 36
Location : Äриί ĐūήіŸá MėıЙ
Registration date : 2008-01-12

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeTue Feb 05, 2008 6:18 am

;AANSOOOOOOO'



MEARY AANSOO MUJH SAY FARYAAD KARTY HAIN
HUM IN VEERAN AANKHOUN KO AABAD KARTY HAIN
NA KAR INHEY BARBAD ABHI WAQT HAI BAHANY MEIN
TAMAM UMER AB HUM TERAY NAAM KARTY HAIN,,,,,, ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Sad ,,

TERI AANKHOUN SAY BEHTA HAI HAMARY SAATH HI KAAJAL
HAMESHA NAM REHTA HAI HAM HI SAY TERA AANCHAL,,,,, ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Cry
HAMY SAAF KARTY JAB JAB TOU CHALTI HAIIIIIII
SHARM SAY AASMAN BHI HO JATA HAI JAL THAL ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Cry

TERI VEERAN AANKHOUN MEIN HUM KABHI RAQS KARTY HAIN
TERI ZULFOUN KO CHOU KAR BHI AKSAR GUZARTY HAIN
NIGHAIEN PHEER KAR TOU ISHARA JAB JAB KARTI HAI
TERAY HAR EK ISHARY PAR ZAMEIN PAR BARASTY HAIN

GAR MIL GAYE KHUSHI TOU LOUT JAYEIN GAYYYYY HUM
SHEHZAD-E-KHAWAB KAY SATH LAG KAR PHIR KABHI AYEIN GAY HUM.........
Back to top Go down
farwa

farwa


Number of posts : 2342
Age : 36
Location : Äриί ĐūήіŸá MėıЙ
Registration date : 2008-01-12

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeTue Feb 05, 2008 6:19 am

Aitbar mat karna
Chand ki udasi ka
Manzilon ki qurbat ka
Dard ki judai ka
Bekali ki furqat ka
Chahaton ki khushbo ka
Rastay main logon ka
Shehr ki mohabbat ka
Pyar kay musafir ka
Hijar kay bahane ka
Aitbar mat karna
Ansuon kay bahana ka...
Aitbar mat karn...!!!
~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Rose01
Back to top Go down
Noor-ul-Ain

Noor-ul-Ain


Number of posts : 19
Registration date : 2008-01-28

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeTue Feb 05, 2008 10:13 am

derakhtoun se jo gir jaein,woh pattey nahi hum
jao aandhioun se keh do,apni owqat mein rahein.........
Back to top Go down
waqar hussain
Admin
Admin
waqar hussain


Number of posts : 9251
Registration date : 2007-11-24

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeWed Feb 13, 2008 9:10 am

ahaaan nice and lovely saab ki hee bohaat zabardast hai sarey too nahi pharee hum nay per jatney pharee kamaal ki tey
Back to top Go down
Bheege-Yaadein
Super Moderator
Super Moderator
Bheege-Yaadein


Number of posts : 4782
Age : 36
Registration date : 2007-11-26

~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitimeFri Feb 15, 2008 1:17 am

Zabardast Sharing 2 Allzzz:)
Back to top Go down
http://www.apnaforums.forumotion.com
Sponsored content





~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Empty
PostSubject: Re: ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~   ~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~ - Page 4 Icon_minitime

Back to top Go down
 
~*~*~ App Ki Pasand ~*~*~
Back to top 
Page 4 of 10Go to page : Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: Bazm-e-Adab :: shair o shairi-
Jump to: